July 22, 2015
0
islamic Dua SMS in Hindi Shayari

Dua k 3 darjey hain,

* 1 wo jo qabol ho jati hay
* 2 wo dua jo puri nahi hoti uske badley mein aap per se koi bari musibat taal di jati hay
* 3 wo jo qabol nahi hoti aur aakhirat mein uska badla milta hay...
Aur jab insaan wo badla dekhay ga tou kahega k kaash dunya mein meri koi dua qabol hi na hui hoti:-

'Subhan Allah'


Ya Allah!

Jo tu ne dia aur jo tu ne nahi dia aur jo tu ne de kar le lia...
Un sub par tera 'Shukar'
Kyon k jo tu ne dia wo teri 'Naimat'
Jo tu ne na dia wo teri 'Hikmat'
Aur
Jo tu ne de kar le lia wo hamara 'Imtehaan'

Ya Allah!
Humein har haal mein shukar ada karne ki taufeeq ata farma!

<
Ho sake to mujhe kuch khas rakhna

Dosti ka itna to ehsas rakhna

Tumhari duaon se mil jaye shayed kamyabi mujhe

Ye soch kar apni har "DUA" mein yaad rakhna

0 comments:

Post a Comment